Yeh Hindustan Hamara Hai

Date:

by Sajid Holy

Isi gali ke hai khaak se, Yahin khaak apni milayenge,
Na bulaye aap ke aaye hai, Na nikaale aap ke jayenge..

Hindustan ko hum muslamano ne apne lahoo se sincha hai, is mulk ko humne Tipu Sultan jaisa jaan’baaz sipahi diya, Abul Kalaam Azad jaise education minister diye, Dr. APJ Abdul Kalam jaise nuclear engineering ke expert diye, Khan Abdul Gaffar Khan aur Ashfaqullah Khan jaise freedom fighters diye, mulk ko angrezo se azaadi dilwane ke liye Sadiqpur (Patna) ke ulemao ne qurbaniya di aur kaala paani ki sazayen bardasht ki. Hindustan ki mitti me hamara aur hamare aslaaf ka khoon paseena hai. iLmi satah par is mulk ko humne Usmaniya university di, Jamia Hamdard Unani University di, Aligarh Muslim University di, Maulana Abdul Kalam Azad University di.

Mulk ke ander ek badi saazish ke tahat naujawan nasl ka brainwash kiya ja raha hai. Mulk ki tareekh ko badalne ki purzor koshishen ho rahi hai, siyasi satah par, mazhabi satah par, educational level par. Nafrat ki saudebazi karne wale aur mazhab ke naam par logo me phoot daalne wale sharpasand siyasatdano ke hath me yeh mulk aur iska qanoon kath’putli ban gaya hai. Yeh sharr’pasand siyasat’daan nafrat ki tijaarat kar rahe hain. Unhe maloom hona chahiye ki woh apni naslon me musalmano ke khilaaf nafrat ke jo beej bow rahe hain, isse aur to kuchh hasil na hoga, lekin unki zindagiyon se sukoon aur itminan zaroor chala jayega. Jiske dil me keena, bughz, adawat aur nafrat panapti hai, woh gusse ki aag me jalta rahta hai, yahan tak ki uski zindagi tanaw, tension aur zehni beemariyon ka shikar ho jati hai. Nateeje me woh mustaqbil me apne bachcho ke liye na kabhi achhe baap ban pate hai, apni biwiyon ke liye na kabhi achhe shouhar ban pate hain aur naa hi mulk ke zimmedar aur amanpasand citizen ban pate hain.

Ek waqt tha jab is mulk par muslamno ki huqumat thi, aur us waqt bhi humne is mulk ke har mazhab ko manne wale awaam ke sath insaf aur humdardi ka muamla kiya tha. Mulk ki taraqqi, aman aur khush’haali hamesha se hamara maqsad raha hai. Is mulk par huqumat karne wale har musalman huqmaraan ne is mulk se jitna liya hai usse kaee guna zyaada is mulk ko diya hai, imaraton ki shakl me, tehzeebo tamaddun ki shakl me, maalo asbab ki shakl me, museums aur kilo (forts) ki shakl me, technology ki shakl me aur iLm ki shakl me. Ye ho ho nahi sakta ki islam ki muqammal taleemat par chalne wala ek insan apne mulk se gaddari kare, logo par zulm kare aur na-insaafi kare. Yeh muslaman ka sheva nahi.

Hamen Nabi e akram sallallahu alayhi wa sallam ne yeh talim di hai ki har kisi ke sath chahe wo muslim ho ya ghair muslim (non-muslim). Har kisi se husn e sulook se, achhe akhlaaq (good manners) se pesh aao. Mulk ki aqsariyat (majority) danga, fasad, maar peet, jhagda, tanaw aur tension ki zindagi nahi chahti. Logo ko chahiye employment, development, health, aur civil society me guzari jane wali pursukoon zindagi. Agar aise sharpasand siyasatdaan is mulk ki qayadat (leadership) karte rahe to nuqsan sabka hai, na sirf musalmano ka aur minorities ka balki har kisi ka. Phir bhi islam hame yeh taleem deta hai ki kabhi huqumat ke khilaf baghawat na ki jaye, aur naa hi hum karte hain. Zaroorat is baat ki hai ki jis nafrat ki siyasat ko khatm karne me aur mulk me aman o shanti ka mahol paida karne me saare hindustani ek joot ho jayen.

Jo kuchh bhi pareshaniya, mushkilat aur zulmo sitam is mulk me musalmano par ho rahe hain uska wahid solution yeh hai ki hum deen e islam ki dawat ko aam karen. Is mulk ke constitution ne hame yeh aazadi di hai ki hum apna izhar e khayal kar sakte hain to phir kyon na hum deen e islam ko apne un ghair muslim bhaiyon behno ki taraf pesh karen jo hidayat se mehroom hain! Agar hum aisa karte hain to do baten ho sakti hain, ya to Allah unko hidayat de de aur is mulk me islam ki barkat se aman o shanti phail jaye, aur agar unki taqdeer me hidayat na likhi ho to kam-az-kam hujjat qayam ho jaye. Aur jab kisi qaum par hujjat qayam ho jati hai, to phir Allah ka faisla nafiz hone me der nahi lagti.

Hum muslman aman pasand aur insaf pasand qaum hai. Aaj zaroorat hai ki is mulk ki tareekh badalne walo ko iLmi jawab dene ke liye agar hum padh likh kar IAS aur IPS officer ban sakte ho to bane, scientist bane, teachers, lecturers aur professors bane aur parliament ke, universities ke, judiciary system ke aur government administration ke bade bade ohdo me competitive exams de kar taraqqi-yafta bane, aala tareen muqam hasil karen aur waha se insano ki islah aur falah e insaniyat ka inqilabi kaam shuru karen jise zang lag chuki hai. Sadko par utar kar narebazi karne wale na baen balki media, technology, army, educational institutes aur system ka hissa ban ke logo ke zehno ko sudharne aur sanwarne wale bane.

Agar hum apne iman ko bacha kar rakhen, Allah aur uske Rasool sallallahu alahi wa sallam ki ita’at aur farmabardari karen, sabro tahammul se kaam len aur deen par istiqamat ke sath jame rahen, to in sha Allah ek din zaroor ayega jab phir se is mulk par Allah hum muslamano ko ghalib karega.

Share post:

Related

Latest

Sach aur Jhoot Ke Darmiyan

by Sajid Holy Aaj media me ek shor barpa hai...

Manzil Tak Kaise Pahunche?

by Sajid Holy Har insan ka aur khusoosan ek musalman...

Yad’dasht (Memory) ka Sahih Istemaal

by Sajid Holy “Goya ki jab woh qiyamat ko dekhenge...

Ilm aur Eeman ki Hifazat

by Sajid Holy Kya yeh oont (camel) ko nahi dekhte...