Media Ki Saudi Arab Ke Khilaaf Jhooti Khabrei’n Phailane Ki Muhim Ki Mazammat Karte Hue
Makkah Ke Imam ne Kaha, “Saudi Arab sirf Allah per bharosa rakhta hai”.
Makkah ke Imam Shaykh Abdul Rahman al-Sudais Ne Juma Ke Khutba Ke Dauran Musalmano’n se Mukhatib Hokar Kaha Ke “Muttahid Hojao Media Ke Baatil Propaganda Ke Khilaaf Jo Saudi Arab Ke Ek Sahafi (journalist) Jamal Ahmed Khashoggi Ke Gumshuda Hone Par Chalaya Jaaraha Hai”.
(SPA) Saudi Press Agency Ne Ittela Di Ke Shaykh Abdul Rahman Al-Sudais ne Khutbe Ke Dauran Kaha Ke, “Media Ka Bar-bar Saudi Arab Par Baatil Ilzamaat Lagana Aur Iske Khilaf Ta’subi Muheem Chalana (Mumlikat e Saudi Arab) Ko Iske Usoolo’n Par Sabit qadam Rehne Se Nahi Rokega”.
Unhone Zor Dekar Kaha ke, “Saudi Arab akele Allah per bharosa rakhta hai, Phir uske Rehnumao’n Ki Hikmat Par Aur Uske Beto’n Ke Ittehaad Par In Baatil Ilzamaat Ka Muqabla Karne Ke Liye.”
Unhone Musalmano’n Ko Khabardaar Kiya Ke, “Media Ke Baatil Banavati Asaas Ki Bina Par Jald Baazi Mei Koi Faislo’n Par Na Pahoncho”,
Aur Targheeb Di Ke, “Haqeeqat Ko Mano Aur Media Ki Tanqeed Aur Ishte’ali Se Parhez Karo”
Iske Alawa Kaha, “Islami Sharia’t Achi Tarah se Lais Hai Jo Faydemand Hai Aadmi Ke Deeni Aur Duniyavi Mu’amlo’n Ke Liye”.
“Islami Shara’i Qawaneen Aur Islami Iraado’n Ne Duniya Ko Insaaf Hikmat Aur Shafaqqat Se Bhardiye Hai”
Aur Khutba Ke Akhir Mei Imam e Haram Ne Allah Ka Shukr Ada Kiya Uske Saudi Arab Par Fazl Ke Liye Aur Saudi Arab Ko Shar’ai, Tahzeebi, Akhlaqi Sarbulandi Ki Misaal Banane Ke Liye!