Urdu Transliteration

Yad’dasht (Memory) ka Sahih Istemaal

by Sajid Holy

“Goya ki jab woh qiyamat ko dekhenge to khayal karenge ki duniya mein to woh ek shaam ya ek subha rahe the. “ (Surah Nazi’at 79:46)

“It will be, on the Day they see it, as though they had not remained [in the world] except for an afternoon or a morning thereof.” (Surah Nazi’at 79:46)

Yad’dasht: Ek Nemat

Yad’dasht ek ajeeb chiz hai. Yeh Allah ki taraf se insan ko di gayi ek badi ne’mat bhi hai. Kabhi aisa hota hai ki hume salon saal ki puraani baten to yaad hoti hain lekin chand minute pahle hi apne ghar me ya office me koi chiz hamne apne hi hathon se kaha rakh di, yaad nahi rahta aur hum dhoond’te rahte hain. Kabhi aisa hota hai ki kuchh baten hum bhool jate hain aur hamare bachche hame yaad dilate hain.

Yad’dasht: Jannat ke aa’al darjaat hasil karne ka zariya

Hum mu’ashre me dekhte hain ki bachcho ki memory ko sharp karne ke liye parents unhe dry fruits, tarha tarha ke tonics, dawaiyan aur nuskhe dete hain. Maqsad yeh hota hai ki unki memory sharp ho jaye, yad’dashte aur hafiza mazboot ho jaye, taki woh padhayi me (academic career me) khoob aage badhen aur examination me acche se acche marks aur grade se paas ho kar unka naam roshan karen. Yeh rawayya to thik hai lekin agar ek musalman memory ko sahi maano me utilize karna chahta ho to use chahiye ki khud bhi Qur’an ko zyada se zyada yaad kare, aur apne bachcho ko bhi ho sake to mukammal Qur’an hifz karwaye. Kyonki hadees me aaya hai ki Quran ke hafiz ko kaha jayega (mafhoom) ki Quran padhte jao aur jannat ke darje (levels) chadhte jao, jis tarha tum duniya me tilawat karte the, jaha tum aakhri ayat par rukoge wahi tumhari aakhri manzil hogi. Isse pata chalta hai ki jannat ke darjaat ka daro madaar is baat par hai ki kisne kitna Quran hifz kiya hai (aur us par kitna amal kiya hai).

Narrated ‘Abd-Allaah ibn ‘Amr that the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “It will be said to the companion of the Qur’aan: Recite and rise in status, recite as you used to recite in the world, for your status will be at the last verse that you recite.”

Al-Tirmidhi (2914) and Abu Dawood (1464) , Classed as saheeh by al-Albaani in al-Silsilah al-Saheehah, 5/218, no. 2240

Bhoolna: Insan ki aadat

Insan jab aalam e arwaah me tha, tab bhi ek zindagi thi, woh use bhool gaya, phir maa ke pet me woh 9 maah tak raha aur us arse ko bhi bhool gaya. Hum me se shayad hi koi ho jise use uska bachpan yaad ho. Phir jab budhapa aa jata hai to woh ahista ahista jawani ke lamhaat bhi bhool jaya karta hai.

Insan ki yeh hamesha se aadat rahi hai ki woh aakhirat ko, qabr ko, Allah ki ata qarda nemato ko aur urooj paa lene ke baad apne zawal ke maazi ko (past ko) bhool jata hai. Koi agar us par kuchh ehsan karta hai to woh bhool jata hai aur palat kar nahi dekhta. Insan apni maut ko bhool kar duniya me is tarha zindagi guzaar raha hai goya ki hamesha yaha rahna hai.

Gunahon ko Yaad Karna:

Jab kisi momin musalman se koi gunah ho jata hai aur jab uska nafs malamat karta hai, jab use tawfeek hoti hai to who Allah ki bargaah me tauba karta hai. Yeh pahla marhala hai, jisme woh nadamat ke aansu bahata hai, apne gunaho ka etraaf karta hai, us gunah ko repeat na karne ka ahad karta hai aur Allah se bakhshish talab karta hai. Iske baad ka marhala woh hota hai ki, jab kabhi mauka milta hai wo istighfaar karta rahta hai, yani us gunaho ko baar baar yaad karke Allah se dubara maghfirat ki ummid rakhte hue, maafi mangta hai, istighfar ka fayeda yeh hai ki uske gunah mit’te jate hain, (erase ho jate hai) aur phir agar wo ek ke baad ek apne gunaho ko yaad kar kar ke istighfar karta rahe to uske gunah nekiyon me tabdeel ho jate hai, woh Allah ki qurbat hasil karta hai aur Allah ka mahboob banda ban jata hai.

Allah ko yaad karne aur Allah ka zikr karne ke fawaid

Hadees e Qudsi hai jisme Allah subhanahu wa tala farmata hai (mafhoom), “Mein (apne band ke sath) waisa hu, jaisa woh Mujhse tawakko rakhta hai, aur Mein uske sath hota hu jab who Mujhe yaad karta hai. Jab woh (banda) Mujhe apne jee me yaad karta hai, to Mein use apne jee me yaad karta hu. Agar who mujhe mehfil me yaad karta hai, to mein usse bahtar mehfil me (farishto ke beech) use yaad karta hu…”

“Allah the Exalted says: I am as my servant expects me and I am with him as he remembers me. If he remembers me in himself, then I will remember him in myself. If he mentions me in a gathering, then I will mention him in a greater gathering….” Source: Ṣaḥīḥ al-Bukhārī 6970, Grade: Muttafaqun Alayhi

Ilm hasil karne aur deen ki baton ko yaad rakhne me kotaahi

Insano ki aur khusoosan musalmano ki aksariyat (majority) ki mushkil yeh hai ki woh yaad rakhne ki chize yaad nahi rakhte aur na yaad rakhne ki chize hamesha yaad rakha karte hain. Kaee musalman aise hain jo jumuah ka khutba aur koi aur dars kisi Masjid me ya program me sunte hain, lekin bahar nikalne ke baad ya kuch dino ke baad unhe us dars me batlayi gayi nasihaten bhi yaad nahi rahti aur kaee to aise hain jinhe topic ya mauzu jis par guftagoo hui thi woh bhi yaad nahi rahta. Kaee musalman aise hain jo kisi ek topic par (for example namaz/salah, wuzoo, roza) par 10 minutes tak Quran aur Sahi Ahadees ki roshni me us mauzu se jude kuchh masail par ek healthy discussion bhi nahi kar paate. Iske bar’aqs (contarary) ghaur talab mamla yeh hai ki unhe cricket ke scores, cricketers aur film stars ke naam, movies ka songs aur dialogs bakhoobi yaad rahte hain. Yeh dar’asl ek fitna hai aur Allah ki ata’qarda memory ki nemat ka galat istemal hai. Agar sahi istemal nahi kar sakte to kam se kam galat istemal to hargiz na karen.

Memory Restoration

Insan ka jism qabr me khatm ho kar fana ho jata hai lekin hum sab jaante hain ki hame phir se dubara uthna hai aur hamare jism koi phir assar-e-nau banaya jayega. Isi ke sath sath hamari purani memories aur yaad’dasht ko bhi restore kiya jayega. Surah Kahf me aata hai ki jab insan ko uska naam-e-aamal ya kitab di jayegi to woh tajjub karega ki yeh kaisi kitab hai jisme koi chhoti ya badi baat (meri zindagi ki) darj nahi hai. Use woh sari nemate bhi yaad dilayi jayegi jo us par ki gayi thi, jiske bawajood woh nashukra bana aur ibadaat me kotahi ki thi. Qabr ki sakhti aur jahannum ki haulnaaki use duniya ki har aish o ishrat bhula degi. Jab usse puchha jayega ki tum duniya me kitne din ke liye the to kahega ki mein ek din ya uska kuchh lamha hi tha.

Aur aamal naama saamne rakh diya jayega to aap dekhenge gunahgaron ko ke khauf kar rahe honge usse jo isme likha hoga aur kahenge, Afsos! Yeh kitab kaisi ajeeb hai, nahi chhori is ne koi chhoti baat aur na badi baghair likhe, aur jo a’maal kiye the woh sab maujood paaenge, aur tumhara Rabb kisi par zulm na karega (Surah Kahf 18:49)

“And the record (of deeds) will be placed [open], and you will see the criminals fearful of that within it, and they will say, “Oh, woe to us! What is this book that leaves nothing small or great except that it has enumerated it?” And they will find what they did present (before them). And your Lord does injustice to no one.” (Surah Kahf 18:49)

Yaad rakhna aur Yaad Karna

Ek to hota hai yaad rakhna aur doosra hota hai yaad karna. Nabi sallallahu alaihi wa sallam ne Ayesha radiyallaho anho se farmaya (mafhoom / aw qama qaal) ki teen marhale aise hain jab koi kisi ko yaad nahi karega. Ek woh waqt jab nam-e-aamal taqseem kiya jayega, doosra jab mizaan qayam kiya jayega aur teesra jab pool sirat se guzarna hoga.

“Aur dozakh us roz hazir ki jayegi aur insan us roz sochega, aur ab use sochne ka waqt kahan?” (Surah Al-Fajr 89:23)

And brought [within view], that Day, is Hell – that Day, man will remember, but what good to him will be the remembrance? (Surah Al-Fajr 89:23)

Allah hum sabko hamesha aakhirat ko aur maut ko yaad karne ki aur uski tayyari karne ki tawfeek ata farmaye aur hamara khatima bil khair iman par kare. Aamin.