Hum Amreeka se pehle se hai, hamari hifazat khud karsakte hai: Saudi ka Trump ko Jawab
Duniya Ke Naujawan Leader Maane Jaane Wale Muhammad Bin Salman Jise “MBS” Naam se Bhi Jaana Jaata Hai, Donal Trump ke Aiteraaz ka Jawab dete hue Amreeki TV Bloomberg ko interview diya.
Saudi Shehzade ne apne Interview mein unho ne Haal Hi Mei America Ke Sadar Donald Trum Ke Saudi Arabia Ke Upar Haqaarat Bhari Nukta Cheeni Ka Aetmenaan Se Jawab Diya
Donald Trum Ne Haal Hi Mei Apni Ek Taqreer Mei Kaha Tha Ke – “Saudi Arabia Do Hafte Bhi America Ki Madad Ke Baghair Nahi Rehsakta”.
Is Per Crown Prince Muhammad Bin Salman Ne Kaha Saudi Arabia Tabse Hai Jab America Ka Wajood Bhi Na Tha Mai Ye Maanta Hu Ke Saudi Arabia 1744 Se Hai Aur USA Ka Wajood Taqreeban 30 Saal Baad Bana (US Formed : 4th July 1776)
Aage Unhone Maazirat Ke Saath Kaha Ke Mai Ye Maanta Hu Ke America Ke Sabiqa Sadar Barack Hussian Ubama Ne Apne 8 Saala Daur Mei Saudi Arab Ke Kayi Agendo Ke Khilaaf Kaam Kiya Sirf Saudi Arabia Mei Hi Nahi Balke Saare Middle East Mei,
America Ke Saudi Arabia Ke agendo Ke Khilaaf Kaam Karne Ke Bawajood Bhi Saudi Arab Is Qabil Tha Ke Wo Apni Agenda Ki Hifazat Karsakta Tha, Aur Akhir Mei Kamiyab Saudi arab Hi Hua, Aur America Obama Ki Sadarat Mei Na Kamiyab Hua misaal Ke Taur Per Misr (egypt) Unhone Kaha.
Sawal Kiya ke Saudi Arab America Ke Sadar Donald Trum Ke Is Jumle Per Koi Sakht Khadam Uthayega?
Is Per Muhammad Bin Salman Ne Kaha Dosti Mei Achi Buri Baatei Hoti Rehti Hain, Aapko Aise Dost Kabhi Bhi Nahi Milsakte Jo 100 % Aapke Baare Mei Sirf Musbit (Positive ) Hi Kahe, Yaha Tak Ke Ek Khandaan Mei Bhi Kayi Ghalat Fehmiya Hoti Rehti Hain Aur Hum Isko Usi Tarah Dekhte Hain.
Canada Aur Germany Ke Talluq Se Sawal Kiye Jaane Per MBS Ne Kaha, “Canada Ne Saudi Arab Ke Andar Uske
Androon Muamlaat Mei Mudakhilat Ki Aur Saudi Arab Ko Uske Hi Neeji Muamlaat Mei Hukm Diya, Aur Yaha Donald Trum Ne Apne Hi Mulk Mei Apne Logo’n Ke Beech Mei Ye Taqreer Ki, MBS Ne Aage Kaha Aur Apko Apka Jawab Milgaya.
Hathyaro’n Ki Khareed O Farokht Per Unhone Kaha, Hum Ye Maante Hain Ke Saudi Arab Ne America Se Abtak Jitne Bhi hathyar Khareede Hain Sub Ki Qeemat Ada Kardi Gayi Hai Wo Muft Nahi Hain, Aage Unhone Kaha Hum Har Cheez Ki Qeemat Ada Karte Hain.
Donald Trump Ka Ilzaam Saudi Arab Crude oil (tayl) Ki Qeemat Mei Ghair Zaruru Izaafa Karta Hai.
MBS Ne Kaha, Tareekh Mei Kabhi Bhi Saudi Arab Ne Ye taye (Decide) Nahi Kiya Ke Kaunsi Qeemat tayl (Oil) Ke Liye Sahi Aur Ghalat Hai.
Balke Tayl (Oil) ki Qeemat Munhasir Hoti Hain A’alami Khareed O Farokht Aur A’alami Talab (demand) Par.