Ilm aur Eeman ki Hifazat

Date:

by Sajid Holy

Kya yeh oont (camel) ko nahi dekhte ke kis tarha paida kiya gaya? Aur aasmaan ki taraf ke kaisa buland kiya gaya hai? Aur Pahaadon ki taraf ke kis tarha khade kiye gaye hain? Aur zameen ki taraf ke kis tarha bichhayi gayi hai? (al-Ghashiyah 88:17-20)

Then do they not look at the camels – how they are created? And at the sky – how it is raised? And at the mountains – how they are erected? And at the earth – how it is spread out? (al-Ghashiyah 88:17-20)

Jab insan ki umr 3-4 saal ki hoti hai to use school me admission diyala jata hai, phir madarse me bheja jata hai, taaki uska iLm hasil karne ke ek mustaqil non-stop safar shuru ho jaye. Yeh umr khelne qoodne ki to hoti hai lekin hum sab samajhte hain ki ab is umr se kuchh na kuchh taleem shuru ho jani chahiye, iske liye yeh ideal age hai.

Phir ek ke baad ek marhale guzarte jate hain, secondary, intermediate, graduation, postgraduation, phd, and so on… Aur isi tarha agar deeni taleem me aage badhta jaye to qaari, hafiz, aalim, fazil, mufti ban jata hai. Lekin iLm hasil karne ke baad 3 chizo ka khayal rakhna bahut zaroori hai.

Ek to yeh ki woh apne ilm se khud fayeda uthaye (jo iLm mila us par amal kare) aur doosron ko bhi fayeda pahuchaye, doosra yeh ki woh kabhi apne iLm par taqabbur, ghamand na kare, arrogance ki feeling ya “I am something” ya “I am better than you” ki feeling kabhi paida na ho, aur teesra yeh ki woh duniya ki rangeeniyon me is qadr na kho jaye ki woh sirf naam nihaad musalman ban kar rah jaye.

Agar insan Allah ki ata-qarda nemato par shukr kare, aur Allah ki is kayenat par ghauro fikr kare to zaroor ba zaroor uske ilm aur iman ki hifazat Allah karega. Jab woh Allah ki makhlooq ko dekh kar Allah ki kibriyai bayan karega, Allah ki hamd bayan karega, subhanAllah kahega, apne haqeer hone aur Allah ke azeem hone ke bare me tadabbur karega, apni nafs ka muhasiba har waqt har lamha karta rahega to uska ilm use zaroor fayeda dega aur us ilm me mazeed izafa bhi hoga aur woh ilm uske liye nafa’baksh bhi sabit hoga.

Agar aisa nahi hoga, to phir zindagi me ek waqt aisa bhi aayega ki uska hasil kiya hua iLm usse door hota chala jayega, aur use guman bhi nahi hoga. Humne kaee logo ko dekha hoga jo Quran hifz karke bhool jate hain.

Kaee logo ko 20-22 saal ki umr me kaee surah yaad hoti hai lekin 40-50 saal ki umr me bhool jate hain. Bachpan me hum me se kaee logo ko arabic matan ke sath ahadees yaad hua karti hogi lekin kaee log bade hokar bhool gaye honge. Jumuah padh kar bahar nikle aur agle jumuah tak to pichhe jumuah ke khutbe ka topic bhi bhool gaye.

Wajah yeh hai ki uska talluk-bil-Allah mazboot nahi, uski Allah ke bare me, Nabi sallallahu alahi wa sallam ke bare me aur jannat aur jannat ke bare me maarifat mukammal nahi. uske paas iLm to bahut hai lekin salah me khushu aur khuzu ki kaifiyat nahi. Use Allah ke zikr me lutf nahi aata.

Use tilawate Quran karke bhi sukoon e qalb nahi milta kyon ki us waqt bhi uska zehan duniya ki rangeeniyon me khoya hua hota hai. use maut ki yaad rulati nahi, use hashr ke maidan ki kaifiyat ka bayan sata’ta nahi. Use duniya se raghbat ho jati hai, duniya ki woh chize jo Allah se door karne wali hai usme uska dil lagna shuru ho jata hai. Nabi sallallahu alaihi wa sallam ne aise ilm se panah mangi jo fayeda na de.

Allahumma inni a’udhu bika min ‘ilmin la yanfa’u wa min qalbin la yakhsha’u wa min nafsin la tashba’u wa min da’watin la yustajabu laha.
O Allah! Indeed I seek refuge in You from knowledge that is not beneficial, and from a heart that does not fear (You), and from a soul that is not satisfied, and from a prayer that is not answered. (Sahih Muslim)

Agar hasil kiya hua ilm insan zaya karde, ya aise iLm hasil kare jo uske liye fayedamand na ho to phir duniyaparasti uski kashish ban jati hai. Woh internet par, whatsapp par waqt ko zaya karne lagta hai, fizul chizo me gum ho jata hai, lahw me mubtala ho jata hai.

Entertainment ke mukhtalif zaraye talash karne lagta hai. iLm hasil karne ke baad bhi agar iman ki hifazat ka intezam na kiya jaye to ain mumkin hai ki insan apni zindagi ka maqsad bhool jaye. Woh bhool jata hai ki waqt bhi Allah ki ek nemat hai aur uska use hisab dena hai.

Yaha se uske gunaho ka silsila shuru hota hai phir sagheera gunah ahista ahista kab use kabira gunaho ki dehleej par la kar rakh dete hain, pata hi nahi chalta. Ab woh ek gaafil insan ban jata hai, jiski nazar me islam ki aur iman ki koi keemat baki nahi rahti. Woh aisi neend me so jata hai jisme uski aankhen to khuli hai lekin use aakhirat dikhayi nahi deti. Woh aakhirat ko bhool jata hai.

Woh qabr ke azab aur qabr ke sawal bhool jata hai. Hubb ad duniya ki wajah se uska iLm aur iman use chhood kar chala jata hai. Woh roz e mehshar ko bhool jata hai.

Woh is faani duniya ka ghulam ban jata hai. Woh bajaye ibadaat ke, is faani duniya me sukoon dhoondne lagta hai, use duniyawi chizo se itminan hasil karna chahta hai aur is daud me woh haram o halal ki tameez bhi bhool jata hai.

Use shaitaan bhatka deta hai ki masjid, madaaris, iman, islam se tujhe kya milega? Is tarha uska dil bimar ho jata hai. Nifaaq (hypocrisy_ uske dil me ghar kar jata hai. Hum sab ko chahiye ki hum Allah se iman ki hifazat ki dua karen. Allah hum sab ko iman ki salamati ata farmaye. Aamin.

(Rabbana la tuzigh quloobana baAAda ith hadaytana wahab lana min ladunka rahmah innaka anta alwahhab.)

Our Lord! Let not our hearts deviate after you have guided us and grant us from yourself mercy.

Indeed, you are the Bestower.
Aye Hamare Rabb! Tu Hamaare dilon me kachi paida na farmana, hame apni hidayat bakhshne ke baad, balke apne khaas fazl o rahmat se nawaaz de, kyon ke Tu to bada ataa farmne wala hai. (Al-‘Imran:8)

Share post:

Related

Latest

Sach aur Jhoot Ke Darmiyan

by Sajid Holy Aaj media me ek shor barpa hai...

Yeh Hindustan Hamara Hai

by Sajid Holy Isi gali ke hai khaak se, Yahin...

Manzil Tak Kaise Pahunche?

by Sajid Holy Har insan ka aur khusoosan ek musalman...

Yad’dasht (Memory) ka Sahih Istemaal

by Sajid Holy “Goya ki jab woh qiyamat ko dekhenge...