Sach aur Jhoot Ke Darmiyan
by Sajid Holy
Aaj media me ek shor barpa hai aur har koi washing powder ki advertisement ki tarha cheekh raha hai ki, “mera sach tumhare sach se zyada safed hai!” Har koi chahta hai ki sach uska sath de, lekin sach ka saath koi nahi dena chahta hai.
“Momino! Tum Allaah se daro aur durust baat kiya karo.”
“O you who have believed, fear Allah and speak words of appropriate justice.”
(Qur’an • Al-Ahzab 33:70)
Sach kahna bahut aasan hai lekin hum sab jaante hain ki sach, khaas karke kadwa sach (bitter truth) kahne ke baad ya aisa sach kahne ke baad jo kisi jhoote insan ka parda’fash kar de, kuch nazuk mauqe aise hote hain ki sach kahne wale ko takleef, mushkilaat, masaail aur masaaib (difficult situation) ka saamna karna padta hai. Toh, sach bolne wale ko chahiye ki woh aise haalat ke liye apna izhar e khayala karne se pahle hi tayyar rahe, apne aapko mentally prepare kar ke rakhe ki chahe kuchh bhi ho jaye, mein apne maukif se, sachchai ke raaste se hatunga nahi aur isteqamat ke sath apni baat par jama rahunga. Yani sach kahna aasan hota hai lekin uske baad ki situation me kaee baar opposition aap par haawi hone ki koshish karta hai, aap par kuch pareshaniya aati hai, lekin aakhir me to jeet sach kahne wale ki hi hoti hai, chahe uski maut hi kyon na ho jaye, kyon ki maut aakhri muqaam nahi hai, aakhri muqaam to maidan e hashr hai jaha doodh ka doodh aur paani ka paani ho kar rahta hai. Sach kehne ke liye aapko mansooba’bandi ki, ajeebo gareeb plans banane ki aur jaal bunne ki zaroorat nahi hoti. Sach kahne ke liye aapko confuse hone ki zaroorat nahi hoti.
Sach kahne ke liye narco test ki zaroorat nahi. Sach bolne wala seedha saamne wale ki aankhon me aankhe daal kar, ek junoon, ek andekhi taaqat aur confidence ke saath sach kahta hai. Use Allaah ke siwa kisi ka darr nahi hota, aur yahi darr use baaki sare logo ke dar se be’khauf kar deta hai.
Sach ka chehra ek hi hota hai. Jab jhoot ke makhmali labade me lapet kar nakli currency notes ki tarha kisi baat ko sach ka naqaab panha kar sone-chandi ki tash’tariyon ke pesh kiya jaye, tab bhi woh jhoot kabhi sach ka chehra ikhteyar nahi kar sakta. Us kaale, andhere aur ba’zaahir khoobsurat dikhne wale jhoot ka mohra ek na ek din utar jayega, ek na ek din jhoot be’naqaab ho kar rahta hai, chahe us jhoot ke defence me koi edi choti ka zor kyon na laga le. Iske bar’aqs jhoot kahna bhi sach kehne ke jitna hi aasan hota hai, khaas kar ke us shakhs ke liye jo bachpan se chhoti chhoti baton me bahanebazi karne kaa aur jhoot bolne ka aadi ho.
Iski shuruaat bahut pahle se ho jati hai, kisi ne homework nahi kiya, daddy ke purse se kuchh paise churaye ho, school, college ya office me late aane ke mukhtalif bahane kiye hon.. wagairah. Yeh jhoot ki duniya panapte panapte ek bhayanak shakl ikhtiyar kar leti hai aur phir aage jaa kar woh badi saazishon ke tahat, mansooba’bandi aur planning ke tahat saaf jhoot bolta hai aur itni masoomiyat aur bholepan se, itna naturally jhoot bolta hai ki saamne wale ke paas use sach maan’ne aur samajhne ke siwa koi chara nahi hota.
Jhoot ki buniyad par ek insan logo me trust aur bharose ki imarat tameer karna chahta hai. Lekin aisa ho nahi sakta. Ek jhoot sau sawaal khade karta hai, aur phir un sawalo ki fehrist lambi hoti hi jaati aur aur jhoot ka intekhab karne wala un sawalo ke jawabo ka fake preparation karte karte dal-dal me phasta hi jata hai. Bil’aakhir isse nikalne ki koi tarkeeb uske paas nahi rahti, yaha tak ki halaat (circumstances) use majboor karte hain ki ab jhoot ki baisaakhi ko phenk kar sach ki kashti me sawaar me hone ke alawa uske paas apni hi banyi hui bhoolbhulaiyya (maze) se nikalne ka koi raasta baki nahi rahta.
Jhoote gawah, jhoote saboot aur jhoote statements ki aakhri dehleej par sach muskurata hua khada hai. Ek na ek din log us sach tak pahuch hi jayenge.
Koi sach’chayi ka bhi chehra hai?
Bandh aankhon pe kiska pehra hai?
Jhoot sach se bhi sunahra hai..
Waqt do char roz thehra hai!
Insan ko mohlat milti hai ki ab bhi woh iqrar kar le aur jhoot se baaz aa jaye. Jab yeh waqt haath se chal jayega, tab is duniya me koi uske sach ka bhi etbaar nahi karega.. bilkul us kahani wale bachche ki tarha jo har bar “sher aaya sher aaya” ki cheekhen laga kar basti ke logo ko bulata tha aur jab haqeeqat me uski bakriyon par hamla karne ke liye sher aa gaya tab kisi ne uski cheekh o pukaar ki parwah nahi ki aur uske sach ko bhi jhoot man liya, nateejatan use apni maal se hath dhona pada..!