FaithUrdu Transliteration

Asli Kaamiyab Insan Kaun?

By Sajid Holy

“Bila-shuba jo Imaan laaye nek kaam karte rahe, unke liye baaghaat hain jin ke neeche nehren beh rahi hain, yeh badi kaamiyaabi hai.” (Qur’an – Surah Al-Buruj 85:11)

Ilm insan ki niyyat banta hai, aur niyyat amal ki shakl ikhtiyar karta hai. Amal se pahle insan kasb aur azm ki wadiyon me jata hai phir waha se amal produce karta hai. Phir us amal ke nataaij insan ke samne aate hain. Nataij ka woh muhasiba karta hai. Jaha se insan ka ilm process hota hai woh uska dil hai aur islam ne insano ki falah ke liye qalb-e-saleem ka mutalba kiya hai.

Woh dil jo keena kapat se paak ho, jo shirk o bidaat se paak ho, jo gheebat o chughli se, fahashi aur gandagi se, doosro ko gira kar khud upar uthne ke dhinaune jazbe se paak ho, hasad se, bughz se, besharmi se paak ho. Taqabbur se, ghamand se, ehsas e bartari se paak ho. Ilm hasil kar lena kaafi nahi. Apni nisbat salafiyat ke sath kar lena kaafi nahi. Taqwa aur tawheed, manhaj aur ibadat ko muakammal kar lene ka ehsaas to muslamano me aa gaya, ulema ki sohbat bhi ikhtiyar kar li, social welfare ki kuchh activities me bhi jud gaye, sadka khairat kar liye, debates kar liye aur phir is khwab e khargosh me kho gaye ki hamara shumar firka e najiyah me ho gaya.

Ilm agar dil ki wadiyon se aaya aur guzar gaya, insan me bina koi change laye, bina koi inqelaab barpa kare, insan suna, hifz kiya, tilawat ki lekin mehsoos nahi kiya, haqq ke mizan me apni akhlaqiyat aur muamlat ko nahi tola to aise ilm ka kya fayeda?

Agar yeh ilm use sabr e jameel ki dehleej par na pacucha saka, fajr ke waqt neend se bedar na kar saka, khwahishat e nafs ki gulami se aazad na kar saka, uske nafa wa nuksan ke meyar ko aakhirat ke nazariye se parakhne ki salahiyat na de saka, uske gusse aur gazab aur junoon par control na la saka, shaadi byaah ke mauqo par galat rusoomat se use na rok saka, halalo haram ki tameez na sikha saka to phir apni nisbat salafiyat ke sath karne ke bawajood woh mazeed pasti aur andero me doobta chala jayega.

Hanzla radiyallaho anho ko fikr thi ki jaise kaifiyat unki Nabi sallallahu alahi wa sallam ke samne jannat aur jahannum ka tarruf sunne par hoti hai, waise ghar me biwi bachcho ke sath nahi hoti, aur is par unhe darr laga ki kahi woh munafikat ki dehleej par kadam na rakh de. Mujhe aur hum sabko chahiye ki hum nifaaq wale khushoo se daren.

Nifaaq wala khushoo kya hai? Bazahir to hum society me, dosto me, logo ke samne bahut hi balanced, sanjeeda aur ba’akhlaaq nazar aate hain, lekin hame chahiye ki hum apne nafs ke andarooni muamlaat ko bhi waise hi durust karen jaise ki hum zaahiri taur par nazar aate hain. Jab yeh kaifiyat hogi tab ja kar hamara taqwa aur tawakkal mazboot hoga. Jab hum gaflat se bedar honge, kahili, susti aur fizool chizo ko tarq karenge tab ja kar hamara ilm hamen fayeda pahucha sakega, in’sha’Allah.

Jis din hum in andheron se bahar nikal kar sarsari nafa dene wali chizo ke bajaye “Al Fauzul Kabeer” (the great success in hereafter) par focus karenge, talluk-bil-Allah qayam karenge, us din hamare urooj ki shuruaat hogi aur in’sha’Allah ul azeem hum us maqaam par pachuch jayenge jaha pahuchne me qaumo ko hazaro saal lag gaye.

Allah hum sab ko nek amal ki aur muhasiba e nafs ki tawfeek ata farmaye, aur duniya wa aakhirat me kamiyabi ata farmaye. Aamin.