AIMIM MLA Waris Pathan ka Kusoor kya hai?

Date:

Media ke aur hindu samaaj ke yehi sawalo ka jawab is risaale mei diya jaaraha hai.

Waris Pathan ganpati ke Mandap mei thaher kar unse dusre Hindu bhaiyo ke liye praathna karne aur ganpati bappa moriya ka naara lagaane ke baad, Hindustan ke musalmano ne unse naraazgi zaahir ki aur unko unki ghalati ka ehsaas hojane ke baad waris Pathan ki  taraf se ek video shaya kiya gaya jis mei wo pashtaate hue  apne gunaah ko maante hain aur uski maafi bhi  maangte hain.

Lekin ye masla yahi’n par khatam nahi hota maafi wala video viral hojane ke baad hindustani media aur hindu samaaj ne sawal uthaye ke waris Pathan ne ganesh se prathna/dua maang kar kaunsa bada gunaah kardiya ?

Media ke aur hindu samaaj ke yehi sawalo ka jawab is risaale mei diya jaaraha hai.

Islam Mazhab Hai Usoolo’n Ka Qaedo’n Ka.

Jo Hume Allah Ki Kitab Al-Quran Aur Allah Ke Rasool Hazrat Muhammad Mustafa (ﷺ) Ki Ahadith Se Milte Hain.

Quran Aur Hadith Ki Ta’leemaat Se Hume Pata Chalta Hai Ek Muslaman Banne/Hone  ka Me’aar Ye Hai Ke, Jo Bhi Insaan Islam Qubool Karna Chahta Hai Uske Liye Ye Laazim Sharth Hai Ke Wo Duniya Ke Tamam Ma’bood (yani jiski wo ibaadat karte hain) Unka Inkaar Karei’n.

Chaahe wo Jaandaar Ho Ya Be Jaan, Zinda Ho Ya Murda, Ek Aam Insaan Ho Ya Allah Ke Nabi, Sahabi, Wali, Farishta Ho Ya Jinn. Sub Ki Ibaadat Ka Inkaar Karne Ke Baad.

Islami Kalima Laa Ilaaha Illallah Ka Pehla Rukn Mukammal Hota Hai.

“Laa ilaaha” Nahi Hai Koi Ma’bood e Barhaq.

(Mafhoom: Nahi Hai Koi Sacha Ibaadat Ke Layeq)

Phir Aata Hai “ILLA ALLAH” Magar Allah Hai Ma’bood e Barhaq (Mafhoom: ALLAH Hai Sacha Ibaadat Ke Layeq).

“LAA ILAAHA ILLAALLAH” (MAFHOOM: NAHI HAI KOI SACHA IBAADAT KE LAYEQ SIVAYE ALLAH KE.

Aur “Muhammadur RasoolUllah Muhammad   (ﷺ) Allah Ke Rasool Hain.

Yehi Nahi Balke Aadam Alaihsalaam Ke Baad Allah Ne Taqriban Har Nabi Ko Ye Paigham De Kar Bheja Ke Sirf Ek Allah Ki Ibaadat Karo Jiski Misaal Ye Hai.

QURAN 7:59 Nabi Nooh (as) ne kaha: “aye meri biraadri Ke logo’n Allah Ki Ibaadat Karo uske siva tumhara koi ma’bood nahi” .

QURAN 7:65 Prophet Hood (as) ne kaha: “bhaiyo’n Allah hi Ki Ibaadat Karo uske siva tumhara koi ma’bood nahi”.

QURAN 7:73 Nabi Saalih (as) ne kaha: “aye qaum Allah hi Ki Ibaadat Karo iske siva tumhara koi ma’bood nahi”.

QURAN 7:85 Nabi Shuaib (as) ne kaha: “Qaum Allah hi Ki Ibaadat Karo iske siva tumhara koi ma’bood nahi”.

QURAN 29:16 Nabi Ibraahim (as) ne kaha: “aur Ibrahim ne apni qaum se kaha Allah Ki Ibaadat Karo aur isse daro”.

QURAN 12:40 Nabi Yusuf (as) ne kaha: “Jin cheezo’n Ki tum Allah    Ke siva parastish karte ho wo Sirf naam hi naam hain jo tumne aur tumhare baap dada ne rakhliye hain Allah ne inki koi sanad nazil nahi ki Allah Ke siva kisi ki hukumat nahi Hai “iske siva kisi ki Ibaadat” na karo yehi seedha Deen Hai Magar lekin aksar log nahi jaante”.

QURAN 43:64 Nabi Eesa (as) ne kaha: “Kuch shak nah ke Allah hi mera aur tumhara parwardigaar hai pas iski Ibaadat karo yehi seedha raasta hai”.

QURAN 38: 65, 66 Pyare Aaqa Muhammad (ﷺ) se Allah ne kaha: “Allah ke siva koi ma’bood nahi”.

Rasoolallah (ﷺ) Ne Farmaya: “Dua Ek Ibaadat Hai” (Jamia Tirmizi).
Dua, Praathna, Mannat, Musibat Mei Dil Se Madad Ke Liye Pukaarna, Ye Sub Ibaadat Hai Aur Upar Humne Parha Ke  Ibaadat Ka Haqdaar Sirf Aur Sirf Akela Allah Hi Hai.

To sabit Hua Ke Waris Pathan Ka Maafi Maangna Be Hadd Zaruri Tha Kyu Ke Agar Koi Muslaman Shirk Yani Allah Ke Saath Uski Ibaadato Mei Kisi Ko shareek Karta Hai To Wo Mushrik Aur Kafir Hojata Hai, Aur Agar Maut Se Pehle Apne US Gunaah Se Maafi Na Maange To Chaahe Wo Kitne Bhi Ache Kaam Karne Wala Ho Jannat Mei Nahi Jayega Balke Dozaq (Hell) Mei Jaayega.

QURAN 4:48 “Allah Is Gunaah Ko Nahi Bakshe Ga Ke Kisi Ko Uska Shareek Banana Jaaye Aur Uske Siva Aur Gunah Jisko Chaahe Maafi Kardega Aur Jisne Allah Ka Shareek Muqarrar Kiya Usne Bada Bohtan Baandha”.

Aakhir Mei Hum Waris Pathan Ki Shirk Ki Maafi Par “AAMEEN” Kehte Hain.

Written by Syed Mohsin – Social Activist – India

Share post:

Popular

Recent
Related

For Kuwait’s new emir, Saudi ties are seen as key

Kuwait (Reuters) - Sheikh Meshal al-Ahmad al-Sabah was named...

Pope Francis deplores Israeli killings of civilians at Gaza church

Vatican City (Reuters) - Pope Francis on Sunday again...

Palestinians must find new path from Israeli rule after war, top official says

Ramallah (Reuters) - Immediately after Israel's war in Gaza...

Israel says it struck Hezbollah sites after attacks from Lebanon

Jerusalem/Beirut (Reuters) - Israel said on Sunday it had...